koi paikar zarur ubhrega zarb-e-tesha agar lagaun main para-e-barq shahparon mein hai hadd-e-imkan se par jaun main mera ham-zad so gaya thak kar kaise us ko bhala jagaun main nahin manzur ye ana ko meri dil-e-bismil use dikhaun main jo dikhae mujhe meri surat aaina wo kahan se laun main ism-e-azam ka lun sahaara aur aatish-e-yam mein kud jaun main zad mein aaunga khud hi main 'sahil' tegh apni agar uthaun main