mauj-e-sarkash hun main na dariya hun

mauj-e-sarkash hun main na dariya hun
phir bhi ek manzar-e-tamasha hun

chand qatron mein wo hua sairab
main samundar hun phir bhi pyasa hun

apni hi justuju mein gum tanha
main ghane jangalon mein rahta hun

tum jo badle ho mausamon ki tarah
waqt ke sath main bhi badla hun

mera maskan hai sina-e-kohsar
main ek aaina-e-sarapa hun

wo hai shabnam ke aabginon mein
main ek aasuda-e-tamanna hun

'sahil' us ki nigah hai mujh par
bazm mein ek taraf main baitha hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close