koi patthar hi kisi samt se aaya hota ped phaldar main ek rahguzar ka hota apni aawaz ke jadu pe bharosa karte mor jo naqsh tha diwar pe nacha hota ek hi pal ko thaharna tha munderon pe teri sham ki dhup hun main kash ye jaana hota ek hi naqsh se sau aks numayan hote kuchh saliqe hi se alfaz ko barta hota lazzaten qurb ki ai 'raaz' hamesha rahtin shakh-e-sandal se koi sanp hi lipta hota