dushmani ki is hawa ko tez hona chahiye

dushmani ki is hawa ko tez hona chahiye
us ki kashti ko sar-e-sahil dubona chahiye

chhin kar sari ummiden mujh se wo kahta hai ab
kisht-e-dil mein aarzu ka bij bona chahiye

is samundar ki kasafat aankh mein chubhne lagi
us ka chehra aur hi pani se dhona chahiye

saunp jaen in darakhton ko nishani nam ki
hum kabhi the agli rut ko ilm hona chahiye

ye bhi koi tuk hui ki kuchh hua to ro pade
shakhsiyat ka rang 'fikri' yun na khona chahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close