koi patthar koi guhar kyun hai farq logon mein is qadar kyun hai tu mila hai to ye khayal aaya zindagi itni mukhtasar kyun hai jab tujhe laut kar nahin aana muntazir meri chashm-e-tar kyun hai us ki aankhen kahin sadaf to nahin us ka har ashk hi guhar kyun hai raat pahle hi kyun nahin dhalti tirgi shab ki ta-sahar kyun hai ye bhi kaisa azab de dala hai mohabbat to is qadar kyun hai tu nahin hai to roz-o-shab kaise sham kyun aa gai sahar kyun hai kyun rawana hai har ghadi duniya zindagi mustaqil safar kyun hai main to ek mustaqil musafir hun tu bhala mera ham-safar kyun hai tujhe milna nahin kisi se 'adim' phir bichhadne ka tujh ko dar kyun hai