kisi jhuti wafa se dil ko bahlana nahin aata mujhe ghar kaghazi phulon se mahkana nahin aata main jo kuchh hun wahi kuchh hun jo zahir hai wo baatin hai mujhe jhute dar-o-diwar chamkana nahin aata main dariya hun magar bahta hun main kohsar ki jaanib mujhe duniya ki pasti mein utar jaana nahin aata zar-o-mal-o-jawahir le bhi aur thukra bhi sakta hun koi dil pesh karta ho to thukrana nahin aata parinda jaanib-e-dana hamesha ud ke aata hai parinde ki taraf ud kar kabhi dana nahin aata agar sahra mein hain to aap khud aae hain sahra mein kisi ke ghar to chal kar koi virana nahin aata hua hai jo sada us ko nasibon ka likha samjha 'adim' apne kiye par mujh ko pachhtana nahin aata