koi payam-e-musalsal hai shor-e-dariya bhi tahi-sukhan se nahin hai sukut-e-sahra bhi faza-e-dasht mein ahl-e-junun ke hangame hamein to ras na aai magar ye duniya bhi zamin-e-tishna-dahan ki sada to aai thi magar ye baat ki abr-e-bahaar barsa bhi ye bu-e-gul bhi pareshan bahut hui lekin bahut hua meri aawargi ka charcha bhi kiya hai fath koi lamha-e-wafa jab se meri giraft mein imroz bhi hai farda bhi abhi to tishna-labi ke surur mein gum hain hum ahl-e-zarf karenge kabhi taqaza bhi jahan ko dekhne wali hazar aankhen hain inhin mein hogi kahin koi chashm-e-bina bhi jo be-hunar hain wo shaista-e-gunah nahin gunah karne mein ek shart hai saliqa bhi ajib aalam-e-begangi mein aa nikle garan guzarti hai dil par teri tamanna bhi jo mil raha tha ba-zahir bade khulus ke sath janab-e-'lais' ne us aadmi ko samjha bhi