dharti se dur hain na qarib aasman se hum kufe ka haal dekh rahe hain jahan se hum hindostan hum se hai ye bhi durust hai ye bhi ghalat nahin ki hain hindostan se hum rakkha hai be-niyaz usi be-niyaz ne wabasta hi nahin hain kisi aastan se hum rakhta nahin hai koi shahadat ka hausla us ke khilaf laen gawahi kahan se hum mahfil mein us ne hath pakad kar bitha liya uthne lage the ek zara darmiyan se hum had jis jagah ho khatm harifan-e-'khair' ki wallah shuru hote hain aksar wahan se hum