koi phul dhup ki pattiyon mein hare ribbon se bandha hua wo ghazal ka lahja naya naya na kaha hua na suna hua jise le gai hai abhi hawa wo waraq tha dil ki kitab ka kahin aansuon se mita hua kahin aansuon se likha hua kai mil ret ko kat kar koi mauj phul khila gai koi ped pyas se mar raha hai nadi ke pas khada hua wahi khat ki jis pe jagah jagah do mahakte honton ke chand the kisi bhule-bisre se taq par tah-e-gard hoga daba hua mujhe hadson ne saja saja ke bahut hasin bana diya mera dil bhi jaise dulhan ka hath ho mehndiyon se racha hua wahi shahr hai wahi raste wahi ghar hai aur wahi lawn bhi magar is dariche se puchhna wo darakht anar ka kya hua mere sath jugnu hai ham-safar magar is sharar ki bisat kya ye charagh koi charagh hai na jala hua na bujha hua