koi rasta koi rahraw koi apna nahin milta mohabbat ke musafir ko kahin saya nahin milta meri aankhon se ashkon ke bajae ret girti hai magar andar kahin bhi ret ka dariya nahin milta badi sada-dili se ek din bachche ne ye puchha koi bhi shakhs is duniya mein kyun hansta nahin milta hamein har pal tumhaari hi kami mahsus hoti hai tumhaari yaad se ghafil koi lamha nahin milta khayalon mein kai kirdar mujh se roz milte hain haqiqat mein magar aisa koi chehra nahin milta ajab jalwa-numai hai jidhar dekhun tumhi tum ho mujhe to aaine mein aks bhi mera nahin milta main mitti se bane murda badan ko le ke phirta hun magar is shahr mein 'ansar' dam-e-isa nahin milta