kyun musht-e-khak par koi dil daghdar ho mar kar bhi ye hawas ki hamara mazar ho badh jae gham ka silsila kohsar ki tarah tulani gar ye zindagi-e-mustaar ho is said-gah mein wahi niklega bach ke saf jo said sab se pahle ajal ka shikar ho us bul-hawas ki maut ke qurban jaiye jo phir dobara jine ka ummid-war ho hasti ka tauq to hai qayamat pas-e-wafat ya-rab kahin ye mere gale ka na haar ho yaksan hai ahl-e-dil ke liye imbisat-o-gham bagh-e-jahan mein aae khizan ya bahaar ho