koi rauzan na koi dar hua hai

koi rauzan na koi dar hua hai
lahu se tar-ba-tar ye sar hua hai

uthata hi nahin hai phone jab se
aligarh mein professor hua hai

main jis se chahta hun bach ke rahna
usi ka samna aksar hua hai

guzari jis ne hai be-rah-rawi mein
wahi us qaum ka rahbar hua hai

meri khana-badoshi qabr tak thi
ganwa di jaan tab ye ghar hua hai

abhi to shane tak hi sar hai 'danish'
kahan se tu mera ham-sar hua hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close