kuan bhi khod liya phir bhi dil pareshan hai

kuan bhi khod liya phir bhi dil pareshan hai
ab is ilaqe se baadal bahut gurezan hai

badan-darida zamin dur tak hai phaili hui
hara sa ek shajar khud pe kitna nazan hai

kahin se koi bhi khush-kun khabar nahin aai
bura hai waqt abhi har khushi gurezan hai

bayan-e-dard-o-alam ab koi kare kis se
har ek shakhs kisi masale mein ghaltan hai

dikha ke aadmi aur jaanwar ki taswiren
ye puchha bachchi ne donon mein kaun haiwan hai

safedi us pe zaban se na pher paega
syahi dil ki teri aankh se numayan hai

jahan mein phaile andheron ka hai ye dar kaisa
dilon mein shama jab iman ki farozan hai

koi khushi bhi kahan lagti hai khushi ki tarah
ba-roz-e-id bhi ab kaun kitna nadan hai

ho ahl-e-hosh ya dasht-e-junun ka bashinda
kisi ka aaj salamat nahin gareban hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close