koi sarmaya kab raha mahfuz ek faqiri ka rasta mahfuz gosha-e-dil hai aalam-e-hairat bada mamur hai bada mahfuz dasht phir kyon nahin rahe aabaad abr aazad hai hawa mahfuz kashmakash mein hai tair-e-firdaus zamin aabaad aur khala mahfuz jo hawa ki panah mein aae wahi rah jaega diya mahfuz