shikwa-e-dard-e-jigar ai mehrban kyun kar karen

shikwa-e-dard-e-jigar ai mehrban kyun kar karen
aap sun kyun kar saken aur hum bayan kyun kar karen

apni biti phir sunaenge kabhi ai mehrban
shab ki shab mein khatm sari dastan kyun kar karen

saikdon hi fitna-e-khwabida jag utthenge phir
nind se chaunka ke un ko sargiran kyun kar karen

phir gaya talwar ka munh tham gae bazu-e-dost
kyun ajal is ki talafi sakht-jaan kyun kar karen

aati hai pichhle pahar bas dil dhadakne ki sada
raaz-daran-e-wafa aah-o-fughan kyun kar karen

phandna diwar-e-jannat ka to aasan hai magar
aap ke dil mein jagah ai mehrban kyun kar karen

inqilab-e-dahr ne aankhon ko andha kar diya
aakhir ab nazzara-e-fasl-e-khizan kyun kar karen

na-tawani ka bura ho aah kar sakte nahin
kyun falak ab jazb-e-dil ka imtihan kyun kar karen

is tilism-e-dahr mein sar bhi utha sakte nahin
kashmakash mein sair-e-nairang-e-jahan kyun kar karen

sar patakte hain abas naqsh-e-qadam par der se
aabla-pa justaju-e-karwan kyun kar karen

hosh mein phir kaun tha jab dard ka saghar chala
aakhir-e-shab ki wo kaifiyyat bayan kyun kar karen

hath phailaya na jaega bhari mahfil mein aaj
sabr ki daulat ko saqi raegan kyun kar karen

jhum kar uthte hain lekin phir sambhal jate hain mast
samna saqi ka hai gustakhiyan kyun kar karen

phade khati hai hamein ye malgaji poshak mein
jama-e-tan ki batao dhajjiyan kyun kar karen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close