koi sawal na koi jawab dil mein hai bas ek dard-o-alam ka sahab dil mein hai jarahaten jo lagin tan pe zeb-e-tan kar lin jo dil ke zakhm the un ka hisab dil mein hai agar lahu hai to aankhon mein kyun nahin aata ye mauj-e-khun hai ki mauj-e-sarab dil mein hai mudam zahir-o-baatin mein ye khalij rahi nigah gharq-e-gunah ehtisab dil mein hai sahifa-e-alam-e-rozgar hathon mein khuli hui tere gham ki kitab dil mein hai nazar ke samne utthenge roz-e-hashr magar wo dil mein dafn rahega jo khwab dil mein hai agar jigar mein ho sare-jahan ka dard to khair ye kya ki sare-jahan ka azab dil mein hai