kuchh is ada se koi dam-ba-dam lubhae mujhe

kuchh is ada se koi dam-ba-dam lubhae mujhe
ki haarne bhi na de aur aazmae mujhe

is intizar mein hun naqsh-e-raegan ho kar
tera karam kisi mehrab mein sajae mujhe

tere nisar kisi aise gham-gusar ko bhej
ki dil ki bhul-bhulayyon se dhund lae mujhe

ye ji mein hai ki sarapa wo naghma ban jaun
ki jis ko tujh se mohabbat ho gungunae mujhe

kisi ki dhun mein pareshan to hun bikhar hi na jaun
gale na mauja-e-baad-e-saba lagae mujhe

gulon se kam nahin kanton ki sej bhi 'khurshid'
khayal-e-yar agar chain se sulae mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close