koi sawal sitara sa aasman mein tha tamam raat ye dil sakht imtihan mein tha sukun-sarab zamin mein jhulas gaya tha badan na jaane kaun dhanak-rang saeban mein tha zara sa dam na liya tha ki mund gain aankhen main us safar se palat kar ajab takan mein tha wo jate jate achanak muda jo meri taraf main dam-ba-khud tha ki phir kuchh na darmiyan mein tha use bhulaya to apna wajud bhi na raha ki mera sara asasa usi makan mein tha