kisi ko kya bataiye ki bas do-chaar ho gae hamin hawa ke munh pe the hamin shikar ho gae yahan jo dil mein dagh tha wahi to ek charagh tha wo raat aisa gul hua ki sharmsar ho gae mujhe to ek umr se padi hai apni jaan ki abhi jo sahilon pe the kidhar se par ho gae azim kyon na jaan se ho shikast-e-aina mujhe wahan to ek aks tha yahan hazar ho gae