koi saya na koi ham-saya aab-o-dana ye kis jagah laya dost bhi mere achchhe achchhe hain ek mukhalif bahut pasand aaya halka halka sa ek khayal sa kuchh bhini bhini si dhup aur chhaya ek ada thi ki rah rokti thi ek ana thi ki jis ne uksaya hum bhi sahib dilan mein aate hain ye tere rup ki hai sab maya chal pade hain to chal pade sain koi sauda na koi sarmaya us ki mahfil to meri mahfil thi bas jahan-dariyon se uktaya sab ne tarif ki meri 'shahpar' aur main ahmaq bahut hi sharmaya