roz gire ek khwab-e-imarat malbe mein dab jaun sadiyon ki diwaren fandun lamhe mein dab jaun kabhi kabhi sahraon ko bhi band karun mutthi mein aur kabhi ek ret ke adna zarre mein dab jaun main to khud ek ped ghana hun ye hai kaise mumkin chhote mote paudon ke main sae mein dab jaun aisa bhi ho jae aksar waisa bhi ho jae sailabon ka rasta rokun qatre mein dab jaun mere nam ka nun 'munawar' asl mein ek muamma lakhon sharhon mein ubhrun ek nukte mein dab jaun