koi shikwa nahin hai rahbar se

koi shikwa nahin hai rahbar se
hata hun khud hi apni rahguzar se

jise duniya haqiqat kah rahi hai
wo sach phaila hai ek jhuti khabar se

nikala hai bahut mushkil se main ne
naya rasta purani rahguzar se

lagegi aur bhi wo khubsurat
jo dekhe khud ko wo meri nazar se

safar mein kat gai phir umr sari
yunhi ek roz nikla tha main ghar se

nazare is liye kam dekhta hun
ki tu ojhal na ho jae nazar se

koi to baat shakhon ne kahi hai
parinde dar rahe hain ab shajar se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close