koi subut-e-jurm jagah par nahin mila tute pade the aaine patthar nahin mila patthar ke jaisi be-hisi us ka nasib hai wo qaum jis ko koi payambar nahin mila jab tak wo jhut kahta raha sar pe taj tha sach kah diya to taj hi kya sar nahin mila hum raat-bhar jalen bhi tumhein raushni bhi den hum ko charagh jaisa muqaddar nahin mila shahr-e-sitam bhi jashn-e-aman mat mana abhi shayad sitamgaron ko tera ghar nahin mila man bap ki duaon se badh kar jahez mein dulhan ko aur koi bhi zewar nahin mila 'dana' wo ab bhi aata hai tanhaiyon mein yaad duniya ki bhid mein jo bichhad kar nahin mila