koi taklif hamari hai na gham aap ke hain

koi taklif hamari hai na gham aap ke hain
aaj se aap hamare hain na hum aap ke hain

ye haqiqat hai bahut jaur-o-sitam aap ke hain
phir bhi iman se kahte hain ki hum aap ke hain

ek bahana hamein mil jaega jine ke liye
upri dil hi se kah dijiye hum aap ke hain

yak-ba-yak meri jabin mein tadap utthe sajde
main samajhta hun yahan naqsh-e-qadam aap ke hain

baz auqat khushi jaan pe ban jati hai
hum se hargiz na kahen aap ki hum aap ke hain

jazba-e-ishq to mubham kabhi hota hi nahin
aap ki zid pe kahe dete hain hum aap ke hain

hum bhi hain kar-e-khudai mein barabar ke sharik
aap kahte hain to ye lauh-o-qalam aap ke hain

chutkiyan len dil-e-be-tab mein to hans hans kar
kitne masum ye andaz-e-sitam aap ke hain

hum wafa-keshon ke dam se hai ye satwat ye uruj
aap ke hum hain to ye jah-o-hasham aap ke hain

hum se kahte hain ki tabir batana is ki
khwab mein hum ne qasam khai hai hum aap ke hain

aap lillah ilaj-e-gham-e-dauran na karen
gham-e-dauran se kahin badh ke sitam aap ke hain

araq-alud jabin nichi nazar kanpte lab
isi aalam mein phir ek bar ki hum aap ke hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close