muaf ai shan-e-kibriyai ye arz meri gila nahin hai

muaf ai shan-e-kibriyai ye arz meri gila nahin hai
ki tere dar ke siwa mera sar kisi ke dar par jhuka nahin hai

hasin thin zindagi ki rahen to aql-o-danish ke git gae
jo aain dushwariyan to chikhe khuda nahin hai khuda nahin hai

ghalat tha arman-e-rahat-e-dil fuzul thi koshish-e-masarrat
sukun mayus ho ke paya ki ab koi aasra nahin hai

hamara iman husul-e-daulat banaya makr-o-dagha ko fitrat
zaban se iqrar hai khuda ka guman ye hai khuda nahin hai

namaz to hai fariza-e-rab namaz padh kar dua na mango
dua khuda se mutalba hai mutalba iltija nahin hai

har ek neamat hamein mayassar tamam duniya hamari duniya
hamein mila dard-ashna dil hamare qabze mein kya nahin hai

tawazun-e-nur-o-nar mein hai baqa-e-tanzim-e-nau-e-insan
wo khud karenge khuda ko paida jo kah rahe hain khuda nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close