koi tanhai ka ehsas dilata hai mujhe main bahut dur hun nazdik bulata hai mujhe main ne mahsus kiya shahr ke hangame mein koi sahra mein hai, sahra mein bulata hai mujhe tu kahan hai ki teri zulf ka saya saya har ghani chhanw mein le ja ke bithata hai mujhe ai mere haal-e-pareshan ke nigah-dar ye kya kis qadar dur se aaina dikhata hai mujhe ai makin-e-dil-o-jaan main tera sannata hun main imarat hun teri kis liye dhata hai mujhe rahm kar main teri mizhgan pe hun aansu ki tarah kis qayamat ki bulandi se giraata hai mujhe 'shaz' ab kaun si tahrir ko taqdir kahun koi likhta hai mujhe koi mitata hai mujhe