sab ki zaban pe zikr teri tund-khu ka tha mere labon pe qufl teri aabru ka tha main gu-magu mein hi tere dar se palat gaya aawaz doston ki thi lahja adu ka tha chaaragaron ko fikr thi nam-o-numud ki go ehtimam zakhm-e-jigar ke rafu ka tha main bahr-e-zindagi mein jazira-numa raha duniya se ek rabt teri aarzu ka tha har khub-ru se main ne kiya wada-e-wafa sab aainon mein aks mere khub-ru ka tha mahir hun main bhi khubi-e-guftar ka magar darpesh marhala sukhan-e-ru-ba-ru ka tha jo harf mein na saut mein izhaar pa saki sab doston mein zikr usi guftugu ka tha