sham dhalte der tak chhat par khadi rahti hun main dubte suraj ko jaanan dekhti rahti hun main kaisi kaisi uljhanon mein ab padi rahti hun main jaane kya kya dekhti aur sochti rahti hun main koi zer-e-lab hamesha gungunata hai mujhe main kisi ke dil ki hun aur an-kahi rahti hun main ek duniya ka safar hai us ke mere darmiyan fasle hi fasle hain napti rahti hun main kaisa baadal hai lipat jata hai mujh se khwab mein kaisi barish hai ki shab bhar bhigti rahti hun main saneha kya tha tamiz-e-farhat-o-gham mit gai ab koi rut ho hamesha ek si rahti hun main ek sitara der tak karta hai mujh se guftugu wo nahin sota so jaanan jagti rahti hun main