koi tasir to hai is ki nawa mein aisi raushni pahle na thi dil ki faza mein aisi aur phir us ke taaqub mein hui umr tamam ek taswir udi tez hawa mein aisi jaise viran haweli mein hon khamosh charagh ab guzarti hain tere shahr mein shamen aisi aankh masruf hai zambil-e-hunar bharne mein kis ne rakkhi hai kashish arz o sama mein aisi ulti jaanib ko safar karne laga har manzar sansani phail gai rah-e-fana mein aisi kahkashaen bhi tahayyur se nikal sakti nahin chhod aaya hun kai nazren khala mein aisi yahin aana hai bhatakti hui aawazon ko yani kuchh baat to hai koh-e-nida mein aisi