dil ki baat na mani hoti ishq kiya kyun piri mein apni marzi bhi shamil hai apni be-tauqiri mein dard utha to reza dil ka gosha-e-lab par aan jama khush hain koi naqsh to ubhra bare be-taswiri mein qaid mein gul jo yaad aaya to phul sa daman chaak kiya aur lahu phir roe goya bhule nahin asiri mein jaane wale chale gae par lamha lamha un ki yaad dukh-mele mein ungli thame sath chali dil-giri mein tauq gale ka panw ki bedi aahan-gar ne kat diye apne aap se bahar nikle zor kahan zanjiri mein shukr hai jitni umr guzari nan-o-namak ki fikr na thi hath ka takiya khak ka bistar hasil rahe faqiri mein