koi taswir yahan aaina-KHanon mein nahin

koi taswir yahan aaina-khanon mein nahin
ab hadaf kaun ho jab tir kamanon mein nahin

be-hisi jabr-e-musalsal ka natija thahri
harf maslub hue nutq zabanon mein nahin

log kuchh itne haqiqat ke parastar hue
yani wo shakhs naya hai jo puranon mein nahin

hum ki mazi bhi hain imroz bhi hain farda bhi
hum sabhi kuchh hain magar qaid zamanon mein nahin

shakh-dar-shakh tarashi gain rahen kitni
par kushada to hue rabt udanon mein nahin

aisa aashob to pahle kabhi dekha na suna
bhid galiyon mein hai log apne makanon mein nahin

wo mohabbat hi mohabbat hai ye irfan bhi hua
us ka maskan to dilon mein hai chatanon mein nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close