khayal-o-fikr jahan zawiye badalte hain wahin se nit-nae uslub chal nikalte hain wo raat ko pae gul-gasht jab nikalte hain falak pe chand-sitaron ke dil machalte hain mere kalam mein mafrooza-o-qayas nahin ye tajrabaat hain jo sher ban ke dhalte hain rukh-e-hayat ko har zawiye se dekha hai mushahidat ke qalib mein sher dhalte hain qadam qadam pe haya-soziyon ka aalam hai sanwar sanwar ke nigaran-e-shahar chalte hain tumhaare gham se ibarat hai zindagi meri tumhaare yaad ke dil mein charagh chalte hain hain kaamran wahi log aaj duniya mein jo waqt aur zamane ke sath chalte hain gudaz-e-qalb bhi hota hai kuchh unhin ko nasib jo dard-mand hain un ke hi dil pighalte hain rah-e-hayat mein aisa bhi hai maqam koi jahan jujun-o-khirad sath sath chalte hain juda hai rang-e-sukhan 'taj' har sukhan-war ka ba-etebar-e-nazar, fikr-o-fan badalte hain