koi to is ka ahl ho ye jam kis ko den do ghunt bach gai thi jo kal sham kis ko den is apni daud-dhup ka ilzam kis ko den tujh ko na den to gardish-e-ayyam kis ko den hamwar rah-e-zist ko karna to hai zarur hum se nipat na pae to ye kaam kis ko den sab ne ghar apne mal-e-ghanimat se bhar liye sab mustahiq hain is ke to inam kis ko den barbaadi-e-chaman mein hamara bhi hath hai mushkil ye aa padi hai ki ilzam kis ko den tujh ko khuda samajh ke kaha tha khuda magar ab hai bhala sa ye jo tera nam kis ko den sab hi hamare yar hain bhai hain ya aziz aaram kis ka chhin len aaram kis ko den 'rahat' tamam log bhale ho gae udhar lab pe jo aa chuki hai wo dushnam kis ko den