koi ummid na bar aai shakebai ki is ne baaton mein bahut hashiya-arai ki ishq din-raat raha kaif-o-tarab mein sarshaar husn ne saltanat-e-ishq pe darai ki na mila par na mila apne masail ka hal aastanon pe bahut hum ne jabin-sai ki aah ai soz-e-darun mere junun se ab tak manzilen sar na huin baadiya-paimai ki soch ka loch kabhi un ko mayassar na hua baz logon ne faqat qafiya-paimai ki kar-e-bekar hui bus mein safar karta hun ye bhi ek surat-e-be-kaif hai mahngai ki sher kahta rahun bahta rahun apni rau mein chhed chalti rahe ehsas ki purwai ki ek sher aur suna de ki zamane bhar mein dhum hai tere taghazzul ki tawanai ki tang-zarfi hai mere wahm ka thahra pani thahre pani pe jami kai hai khud-rai ki wa daregha ki zara qadr na ki duniya ne 'krishn-mohan' tere irfan ki gahrai ki