koi wajud hai duniya mein koi parchhain so har koi nahin hota kisi ki parchhain mere wajud ko mano to sath chalta hun ki main to ban na sakunga tumhaari parchhain yahi charagh hai sab kuchh ki dil kahen jis ko agar ye bujh gaya to aadmi bhi parchhain kai dinon se mere sath sath chalti hai koi udas si thandi si koi parchhain main apna-ap samajhta raha jise ta-umr wo mere jaisa hayula tha meri parchhain na khush ho koi bhi tezi se badhti qamat par pas-e-ghurub na hogi bichaari parchhain guman-e-hast hai hasti ka aaina-khana so apne-ap ko bhi jaan apni parchhain main nisf sach ki tarah hun bhi aur nahin bhi hun ki aadha jism hai mera to aadhi parchhain phir us se us ke taghaful ka kya gila karna ki 'iftikhar-mughal' wo to thi hi parchhain