koi ye zahid se ja ke kah de ki rasm ulti shabab ki hai sawab mein hai gunah ki lazzat gunah mein lazzat sawab ki hai rukh-e-munawwar pe dar-haqiqat misal aisi naqab ki hai mah-e-do-hafta ke ru-e-raushan pe jaise chadar sahab ki hai kuchh aisi tauba-shikan har ek baat us but-e-la-jawab ki hai hai gesuon mein ghata ka aalam nazar mein masti sharab ki hai in aansuon ko gila na samjho ye dil se tang aa ke gir rahe hain isi ne ruswa kiya hai har su isi ne mitti kharab ki hai yahi wo kuza hai dil ki rahte hain band jis mein hazar dariya yahi wo zarra hai dar-haqiqat ki jis mein zau aaftab ki hai naqab ru-e-hasin utha kar na is tarah hum ko bhul jao muraden dil ki bhi puri kar do agar nazar kaamyab ki hai kahan ki jannat kidhar ka dozakh kidhar ki duniya kahan ka uqba ye sab fasana ye sab kahani 'sahar' faqat shaikh o shabab ki hai