haram ko shaikh mat ja hai but-e-dil-khwah surat mein agar hai mard-e-mani dekh le allah surat mein nazar kar us ki tuk nairangiyon par chashm-e-hairat se kahin gul hai kahin kanta kahin hai kah surat mein sanam ki satr-e-abru katib-e-qudrat ne likhi hai kalid-e-ilm-e-mani hai ye bismillah surat mein subu-o-jam par kam-zarf karte hain nazar warna bane hain ek mitti ke gada o shah surat mein mera wo tifl-e-abjad-khwan padhe kyunkar na ab hijje baghair is qaede ke ho sake kab rah surat mein juda diwar se kab taq hai koi batao to dikhai de hai pur-ahwal ko do ek mah surat mein kar apne dil ko saiqal ai sikandar ta ho ye raushan safa se aaine ke kab khalal hai aah surat mein gaya hoga taraf kaba ki jo mahram nahin us se ki haji us ke aamad raft ki hai rah surat mein 'nasir' us ki zaqan mein band hai wo yusuf-e-kanan nikalti hai azizo dekh lo kya chah surat mein