kore kaghaz ki tarah be-nur babon mein raha tirgi ka hashiya ban kar kitabon mein raha main aziyyat-nak lamhon ke itabon mein raha dard ka qaidi bana khana kharabon mein raha jis qadar di jism ko maqruz sanson ki zakat kya bataun jism utna hi azabon mein raha be-sifat sahra hun kyun sahra-nawardon ne kaha har qadam par jab ki main andhe sarabon mein raha waqt ki mahrumiyon ne chhin li meri zaban warna ek muddat talak main la-jawabon mein raha dhundte ho kyun jali tahrir ke asbaq mein main to kohre ki tarah dhundle nisabon mein raha