kore kaghaz pe kai naqsh banae main ne aur phir ek ke siwa sare mitae main ne gul-e-khud-rau ki mahak jaise kisi jangal mein hae wo git jo tanhai mein gae main ne chaman-e-fan mein rahenge jo hamesha shadab aise gul-bute bhi chand ek ugae main ne khun insan ka pani ki tarah bah nikla uf tassub ke wo hangame uthae main ne apnon se badh ke madad-gar-o-muawin jo the dahr mein aise bhi dekhe hain parae main ne hae kya chiz thi ai rah-e-mohabbat tu bhi kante jitne the wo palkon se uthae main ne husn ke sainkadon rukh tum se abhi makhfi hain husn ke rup hazaron hi dikhae main ne ek bhi teri nazar se nahin guzra ai dost kitne aiwan takhayyul ke sajae main ne shaeri bas mein mere aae to jaanun 'maghmum umr-bhar is ke bahut naz uthae main ne