ishq ka humse nam baqi hai

ishq ka hum se nam baqi hai
husn ka ehtiram baqi hai

pine wale to uth gae kab ke
han magar daur-e-jam baqi hai

shauq-e-didar-e-khas khatm hua
talab-e-did-e-am baqi hai

kis ko khasan-e-mai-kada hain yaad
mai-kade hi ka nam baqi hai

bawajud-e-jafa-gari-e-ajal
zindagi ka dawam baqi hai

ruh-e-dair-o-haram se kaam nahin
ehtiram-e-maqam baqi hai

dil mein izzat na jazba-e-ikhlas
rasm-o-rah-e-salam baqi hai

rahrawo ye samajh ke chalte chalo
manzil ab chand gam baqi hai

kis ko parwa-e-nang-o-nam magar
hawas-e-nang-o-nam baqi hai

kuchh to ho shaghl-e-baada-e-gul-rang
kaif-e-gulfam-e-sham baqi hai

jism aazad ho gae lekin
ruh-o-zehn-e-ghulam baqi hai

tere hi dam se kuchh na kuchh 'maghmum'
aabru-e-kalam baqi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close