koshish-e-paiham ko sai-e-raegan kahte raho hum chale ab tum hamari dastan kahte raho guftani baaten sahi naguftani baaten sahi chup na baitho koi afsana yahan kahte raho maslahat kya baat jo haq hi wo kah do barmala lakh hon ahbab tum se bad-guman kahte raho hum ki the aazad aazadi ki khatir mar gae jine walo tum qafas ko aashiyan kahte raho sirf kahne se zamin kya aasman ho jaegi kuchh nahin hoga zamin ko aasman kahte raho rah kya manzil hai kaisi har haqiqat hai fareb karwan ko bhi ghubar-e-karwan kahte raho kyun karo 'akhtar' ki baaten wo to ek diwana hai tum to yaro apni apni dastan kahte raho