kaun sunta hai sirf zat ki baat lab pe hai mere kaenat ki baat kyun shikan pad gai hai abru par main to kahta hun ek baat ki baat shama roti hai tare dubte hain ab fasana banegi raat ki baat subh-e-nau muskurane wali hai kya kahen shab ke hadsat ki baat muztarib ho rahe hain diwane hai tumhaari nawazishat ki baat bazm-e-'akhtar' mein kyun khamosh ho tum hai ye beja takallufat ki baat