koshish-e-zabt nahin ai dil-e-nashad nahin iltija apni hadon mein ho to fariyaad nahin qissa-e-dard kisi aur ki rudad nahin ek meri hi ghazal hai jo mujhe yaad nahin chot kha kar bhi labon par mere fariyaad nahin aur kya hai jo ye taufiq-e-khuda-dad nahin tum kabhi pursish-e-haalat ki zahmat to karo kaun si baat hai aisi jo mujhe yaad nahin kis qadar tul thi miad-e-asiri tauba ab bhi ye wahm sa hota hai ki aazad nahin tu ne kis ke liye kanton ko sajaya tu jaan main ne kyon phul chune the ye mujhe yaad nahin yun to har rang mein hai tere karam ki tarikh qabil-e-zikr koi baat mujhe yaad nahin apne hi sae mein guzra hun har ek daur se main tum mere sath kahan tak the mujhe yaad nahin raat-din sarf-e-ibaadat to nahin hai 'anjum' lekin un mein bhi nahin jin ko khuda yaad nahin