kashmakash yun to musalsal hi zamane se rahi

kashmakash yun to musalsal hi zamane se rahi
aap ke ahd mein kuchh aur bahane se rahi

zindagi dard ka mear badhane se rahi
hum na roen to hansi ghair ko aane se rahi

khud hi kuchh khun jalao ki ujala ho jae
shama to khana-e-be-nur tak aane se rahi

sabr walon ki zaban waqt bhi ban jata hai
meri iza-talabi baat badhane se rahi

be-jhijak rang uchhaalen chamanistan wale
gham-nasibon ki khabar laut ke aane se rahi

hum to barbaad-e-nasheman hue lekin sayyaad
khud chaman ki bhi koi chiz thikane se rahi

sahab-e-waqt gharibon se khatakta kyon hai
muflisi taj-e-mah-o-mehr to pane se rahi

aap kitne hi parastar-e-wafa hon 'anjum'
zindagi aap ko mahbub banane se rahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close