koshish ke bawajud ye ilzam rah gaya har kaam mein hamesha koi kaam rah gaya chhoti thi umr aur fasana tawil tha aaghaz hi likha gaya anjam rah gaya uth uth ke masjidon se namazi chale gae dahshat-garon ke hath mein islam rah gaya us ka qusur ye tha bahut sochta tha wo wo kaamyab ho ke bhi nakaam rah gaya ab kya bataen kaun tha kya tha wo ek shakhs ginti ke chaar harfon ka jo nam rah gaya