nahin hai is nind ke nagar mein abhi kisi ko dimagh mera magar kisi khwab ke safar mein sipar karenge charagh mera sabahat-e-sham-o-aina se hui hai meri numud lekin sitara o aasman se bahar kahin milega suragh mera tadap uthi hai kisi nagar mein qayam karne se ruh meri sulag raha hai kisi masafat ki be-kali se dimagh mera jarahat-e-wasl ne khilae hain zulmat-e-sham mein sitare mata-e-hijran ki chandni se bhara hua hai ayagh mera lipat rahi hai fasil ki burjiyon se ek shahr ki nigahen aur ek diwar-e-aina par jhuka hua hai charagh mera ye kaisi sath-e-rawan pe 'sajid' dhari hui hai zamin meri ki jhumta hai kisi sitare ke sans lene se bagh mera