koshish musalahat ki to lail-o-nahaar ki har lamha kaifiyat hai magar intishaar ki gujraat dil hai gar mera kashmir hai qalam likhta hun dastan badan ke chinar ki aql-o-khirad hamare na kuchh kaam aa sake josh-e-junun ne aabru rakh li hai dar ki sab marhale tamam hue jit ke magar be-mehri-e-rafiq hui wajah haar ki sanson pe ikhtiyar na duniya ka eatibar fitrat yahi hai aalam-e-na-paedar ki palken bichhaun rahon mein ye aajizi nahin mizan ye nahin hai 'qalaq' inkisar ki