regzaron mein pal raha hun main chandi sona ugal raha hun main shakl-o-surat badal raha hun main aaine mein machal raha hun main fasla ab bahut zaruri hai teri qurbat se jal raha hun main jab se hisse mein shohraten aain chand aankhon mein khal raha hun main naqsh-e-pa hi adu na ban jae apni rahen badal raha hun main qabl is ke jawan ho dariya sara sahra nigal raha hun main hijraton mein badi tamazat hai lamha lamha pighal raha hun main