ku-ruswai se uTh kar dar tak tanha gaya

ku-e-ruswai se uth kar dar tak tanha gaya
mujh se jite-ji na daman khwab ka chhoda gaya

kya bisat-e-khar-o-khas thi phir bhi yun shab-bhar jale
dosh par baad-e-sahar ke dur tak shoala gaya

ruh ka lamba safar hai ek bhi insan ka qurb
main chala barson to un tak jism ka saya gaya

kis ko be-gard-e-masafat shauq ki manzil mili
naghma-gar ki khalwaton tak bar-ha naghma gaya

kaun mujh ko dhundhta tha kuchh pata chalta nahin
bazm-e-khuban mein hazaron bar main aaya gaya

hum wo shaer ki sunate hain surud-e-jaan 'hasan'
ek bhi shoala-nafas mahfil mein gar dekha gaya

mil gae jab nira-dishwar dasht-e-ghurbat mein 'naim'
ek naya rishta azimabaad se joda gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close