zulf-e-jaanan hai intiha ki shoKH

zulf-e-jaanan hai intiha ki shokh
chashm makhmur hai bala ki shokh

aap dekhen to mere dil ka lahu
aisi surkhi kahan hina ki shokh

jaan jati hai marne walon ki
jo ada hai wo dilruba ki shokh

ek ishaare mein kar diya bismil
ye nazar hai teri bala ki shokh

hath aaya hai us ko tujh sa sharir
kyon adaen na hon hina ki shokh

ek duniya mein aati jati hai
hai saba ku-e-dilruba ki shokh

mehr sharminda jis se mah khajil
hum ne wo shakl chun ke taki shokh

padh ke bole ghazal wo 'hamid' ki
shairi us ki hai bala ki shokh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close